Almari mein rakhi hain ache se taha kar,
kuch gunjti hui padi hain.
kuch naazuk hain, kareene se rakhi hain,
kuch waqt ke sath ghis gayin, phir bhi samhali hain.
kuch hain kabhi khas mauko par nikalne wali,
kuch rozmarra wali hain.
Sitaron se jadi, kuch nakkashi wali.
kuch ekdum saadi phir bhi khoobsoorat.
Meri almari mein sirf kapde nahin,
kahaniyan hain.